Roman Urdu: Jhut bolna aisi buri adat hai jis ko hamesha se gunah samjha gya. Har mazhab aur har mu'asharreh main ise aik bahut bara akhlaqi jurm kaha gya magar phir bhi log jhut bolte hain. Basa auqat parhe likhe log bhi is jurm ke murtaqib ho jate hain aur aisi bat keh dete hain jo haqiqat par mabni na ho. Log apni kisi kamzori ko chhupane ke li'ye ya saza se bachne ke li'ye jhut bol jate hain. Jhut insan ki shakhsiyat par aik bad-numa dagh hai.
English: Lying is a bad habit which is always considered a sin. It is said to be a great moral crime in every religion and every society, but people still lie. Sometimes educated people commit this crime and say things which are not based on fact. People lie to hide their weaknesses or to avoid punishment. A lie is an ugly strain on mankind's personality.
Next
Previous
Next
Previous
No comments:
Post a Comment