Tuesday, 16 February 2016

Alone and Lonely in Urdu

Lesson No. 17


Alone aik adjective aur adverb hai.

Alone ka matlab akela/tanha hai. Dusre alfaz mein ap ke dost hain, ap ki family bhi hai lekin ap tanhai ko pasand karte hain.

Ali likes being alone in the house.
Ali ghar mein akela rehna pasand karta hai.

Lonely ka matlab hai ke ap akele ho, ap ka koi dusra nahi aur is li'ye ap udas bhi ho.

I was very lonely when I first moved to London.

Mein akela aur udas tha jab mein pehli dafa London muntaqil huwa.

American English mein 'lonesome' ka wohi matlab hai jo 'lonely' ka hai.

Next

Previous

No comments:

Post a Comment